Abh sop diyaa is jivan kaa
Abh sop diyaa is jivan kaa, sab bhaar tumhaare haatho mein(2)
He jeet tumhaare haatho mein, aur haar tumhaare haatho mein(2)
Meraa nischay bas ek yahi, ik baar tumhe paa jaavun me(2)
Arpan kar du duniyaa bhar kaa, sab pyaar tumhaare haatho mein(2)
Jo jagme rahu to aise rahu, jyo jal me kamal kaa phool rahe(2)
Mere-sab gun dosh samarpit ho, kartar tumhaare haatho mein(2)
Yadi maanav kaa mujhe janma mile, to tav charonka pujaari banu(2)
Is pujak ki ik ik rag kaa, ho taar tumhaare haathoo mein(2)
Jab jab sansaar kaa kaidi banu, Nishkaam bhaav se karma karu(2)
Phir ant samaye me praan taju, Niraakar tumhaare hathoo mein, saakaar tumhaare haatho me
Mujme tujme bas bhed yahi, me nar hu tum naaraayan ho(2)
Me hu sansaar ke haathoo mein, sansaar tumhaare haathoo mein(2)
Abh sop diyaa is jivan ka, sab bhaar tumhaare haatho mein(2)